Koi ankhon se baat kar leta hai,
Koi ankhon mein mulakat kar leta hai,
Bada mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.
Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka gam nahi,
Par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi.
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile tumko kahin to utha lena,
mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.
Tum milo na milo,na milne ka gham nahi,
tum paas se hi gujar jaao, milne se kum nahi.
maana ki tumhe hamaari kadr nahi,
magar unse puchho jinhe hum haasil nahi.
Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte,
lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi,
dost to aab yaad kiya nahi karte
Ai mere humnashin chal kahin aur chal,
Is chaman mein ab apna guzaara nahin,
Baat hoti gulon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin.
Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Bhookh Aur Pyaas ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahin Kuch Aur Bhi Hai.
Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno me jaan hoti hai,
Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udaan hoti hai.
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Yeh to unke bachche hee kaminey hain,
Jo Mama-Mama kehke bulaate hain.
Jab jab ghire badal teri yaad ayi,
Jab jhoom ke barsa sawan teri yaad ayi,
Jab-jab mein bhiga teri yaad ayi,
Ab raha nahin jata, Chatri Lauta de Bhai.
Dil ka dard dil todne wale kya jane,
Pyar ke rivazon ko zamana kya jane,
Hoti hai kitni takleef ladki patane mein,
Ye ghar pe baitha ladki ka baap kya jaane.
Wednesday, April 28, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment